Posts

Showing posts from January, 2020

Ek Kahaani

Har pal jinhone apne anchal m chhupak rakha, Ek din vo bhi aaya, Maa Baap ne haath chhoda, Duniya m akela nikalna sikhaya. Rote rote aye the is mandir m, Hasna isne sikha diya, Har ek beete lamhe ne yhaa, Zindagibhar yaadon mein smaa jaana. Ek kahaani se ye saal rahe, Jo chhoti si pencil pichhe ldaa krte, Aaj apni zindagi bnaane chale, Yaadein in lamho ki sang le chale. Goooodddmmrrrnig Teeeaaacher se lekar, Namaste tak ka safar raha, Saath khana baatne se lekr, Saath ehsaas batne tk ka safar raha. Teachers ki nakal utaarne se lekr, Unke dikhaye raaste tak k safar, Dosto se ldayi se lekr, Chhutiyo k baad milne ki khushi tak ka safr. Ek kahaani se ye saal rahe, Ek kahaani se ye saal rahe. Chhoti chhori baaton par ldaayian rahi, Kuchh pal m firse yari dikhayi, In dosto k saath rhe na rhe, Dilo m inhone ek khaas jgah hai bnaayi. Teacher ki chhuti ki khushi, Fir unki jgah games ka period lg jaana, PTM se phke sbhiko makkhan lgaana, Agli baar achha krne ...

Ek Ehsaas

Mehsoos kuchh hua us din, Jb rehna seekha tere bin, Lgta tha maut lgegi gale, Par khud ko hi paaya us din. Vajood gayab hua tha mera, Saath jabse mila tha tera, Dhool ki trah uda tha, Tere naam se jaana jata tha. Juda agar hona chaha maine, Socha dhokh to nahi dene jaana maine, Par ehsaas hua mujhe, Khud ki self respect dikhani hai tujhe. Pyaar aaj bhi jhaan se zaada hai, Par saath tere nhi rehna hai, Besahara or kamzor jo tune smjha tha, Galti ye kar tu betha tha. Saath chahiye tha nahi, Pyaar tha isliye saath rahi, Musibatein paal kr tujhe khush rakha, Bs izzt or pyaar hi to maine maanga tha. Khud ko azmaane ka maine socha, Tere bin jeene ka iraada aaya, Teri yaad har pal aaya karti hai, Khusiyaan par khud m dhoond daali hai.

Apne

Jo smjhte mai kamzor hu, Jo smjhte mujhe saath ki zrurat hai, Akeli sherni ka bal rakhti hu, Jaagne ka sahi vaqt nhi smjhti mai. Jb jiski kadar ki, Tukdo m dil ko paati hu, Fayda uthaya jaata hai, Fir sochte mai reham kru. Farak pdna band ho chuka, Rehna ho rho vrna alvida hai, Jo saath mere unko salaam hai, Aaj bhi meri jaan bhi unk lie haazir hai. Dosti ka matlab dikhaugi mai, Duniya k saamne na sahi, Unhe unk aage ehsaas karaugi mai, Unhe sachayi ka asar dikhaugi mai. Devi smjhna kabhi mujhe nhi, Laakh burayiyan hogi mujhmein bhi, Madad krne se dosto ki ht ti nhi, Jo bharosa rkhta vo jaanta meri khoobsurati bhi.