Ek Kahaani

Har pal jinhone apne anchal m chhupak rakha,
Ek din vo bhi aaya,
Maa Baap ne haath chhoda,
Duniya m akela nikalna sikhaya.

Rote rote aye the is mandir m,
Hasna isne sikha diya,
Har ek beete lamhe ne yhaa,
Zindagibhar yaadon mein smaa jaana.

Ek kahaani se ye saal rahe,
Jo chhoti si pencil pichhe ldaa krte,
Aaj apni zindagi bnaane chale,
Yaadein in lamho ki sang le chale.

Goooodddmmrrrnig Teeeaaacher se lekar,
Namaste tak ka safar raha,
Saath khana baatne se lekr,
Saath ehsaas batne tk ka safar raha.

Teachers ki nakal utaarne se lekr,
Unke dikhaye raaste tak k safar,
Dosto se ldayi se lekr,
Chhutiyo k baad milne ki khushi tak ka safr.

Ek kahaani se ye saal rahe,
Ek kahaani se ye saal rahe.

Chhoti chhori baaton par ldaayian rahi,
Kuchh pal m firse yari dikhayi,
In dosto k saath rhe na rhe,
Dilo m inhone ek khaas jgah hai bnaayi.

Teacher ki chhuti ki khushi,
Fir unki jgah games ka period lg jaana,
PTM se phke sbhiko makkhan lgaana,
Agli baar achha krne ka vaada jo krna.

Period k bich m tang krne se lekr,
Canteen tk jhund m ikthe hone tk ka safar raha,
Saath beth kr nakal maarne se lekr,
Pass hone k jashan tak ka safar raha.

Ek kahaani se ye saal rahe,
Ek kahaani se ye saal rahe.

Khaa socha itni jaldi alvida krn hoga,
Sabhi ko alag alag sangharsh krna hoga,
Jis school m aane se bhaagte the,
Kuchh din bad usi ko miss krna hoga.

Maafi sabhi se jiska dil dukhaya ho,
Haste khelte sabhi rho,
Yaad rhega har lamha vo,
Chaahe fir usne rulaya bhi ho.

Ek kahaani se ye saal rahe,
Jo chhoti si pencil pichhe lda karte,
Aaj apni zindagi bnane chale,
Yaadein in lamho ki sang le chale.

Comments

Popular posts from this blog

Best Teacher

Mera guroor

Samajh Se Paar- Ye Pyaar