Dard Bhare Ehsaas


Kyu ye hota hai 
Kaisa khel racha hai
Dushman khush hai
Or humne jaane kya gunaah kiya hai

Kyu ye hota hai
Scha pyaar kyu nhi milta hai
Kyu hmesha ghdi yu
Sirf dosti k kagaar pr ruk jaati hai

Kyu vo do din phle aaye log 
Tujhe yu bhaa jate hai
Kyu hum yu aise
Tere pyaar ki aas mein rh jaate hai

Kya dikhne m sundar log hi
Pyaar apna paa pate hai
Kya upari khubsarti hi hmesha
Balshaali khlaati hai

Naa jaane kb vo milega
Naa jaane kb use bhi to pyaar mehsoos hoga
Bhgwaan sab dekh rha hai
Sbko unk karamo ka fal bhogna hi hoga

Jb ho jayege budhhe hm
Tb to sundarta nhi rhni hai
Tb kya kregi hmari sundarta
Dil hi aakhir m apna jaadu dikhata hai

Nhi rkhegi vo khyaal tera
Jo aaj tere looks pr marti hai
Dil se puchh k dekh
Asli khyaal tera rkhna kisne hai

Ek reham kre bhgwaan
Agli baar bs khel ulta krde
Usko mai aur mujhko vo bnade
Aisi meharbaani mujhp krde

Kya tadap hai roz ki meri
Tb shyd usko smjh aa jaaye
Pr itni dua fr bhi hai
Tab use mera saath hmesha k lie mil jaye

Bht lekhak hai bane
Romeo juliet k pyaar ko dikhane k liye
Pr kyu na koi bna yhaa pr
Ek tarfa pyaar k dard ko smjhane k liye

Bht man krta hai ki
Unhe vaqt du jo mujhe pyaar krte hai
Pr kya kru apne dil ka mai
Koi or itna kbhi ise bhayaa hi nhi hai

Kya mai btaau usse ye dil k haal
Koi bnado is duniya m meri bhi dhaal
Yu to vo hai meri taaqat 
Pr hmesha nhi bnta vo meri taal

Chahti hu mai hmesha se
Kbhi na usko dukh mile 
Pr koi to smjhado use
Ye dard bhre ehsaas jo mujhe mile

Sb khel hai uprwale ka
Soch kr seh leti hu sb mai
Scha pyaar nhi harta kbhi
Maan kr reh leti hu mai

Sbse bhadkar vo hai mere liye
Pr koi to smjhado use
Khi mera dharya jwaab de jaaye
Der na ho jaaye usse
Jo na socha kbhi vo ho jaaye
Judaa na ho jaau mai usse

Khne ko to bht kuchh hai
Pr kya kya bolu ab mai
Nhi chahti door hona usse
Kisi bhi haalat mein mai

Kuchh bhi ho lekin 
Juda na hou usse mai
Koi chamatkaar ho jaaye
Uski bhi dhadkan ban jaau mai...

Comments

Post a Comment

Popular posts from this blog

Best Teacher

Samajh Se Paar- Ye Pyaar

Mera guroor