Samajh Se Paar- Ye Pyaar
Samandar mein doob jaane ka dar
Ab khtm saa ho gya hai mujhm
Kisi aur ki zrurat hi nhi hai
Tu jo samaa gya hai mujhm
Tujhse baat na ho to
Lgta hai kuchh gadbad hai
Khi tu mujhse naraaz to nhi hai
Yaa fir teri zindagi m kuchh atpata hua hai
Par ek baar baat jo ho tujhse
To jaise paani pr aag behne lag jaati hai
Zameen k pankh lag jaate hai
Aur har jgah pr chehal pehal chhaa jaati hai
Kbhi bimaar pad jau main
Yaa haath par toot jaye mere
Auro k kehne pr dar na hate mera
Pr tere liye to pankh bhi lg jaaye mere
Andhere se bht dr lgta hai mujhe
Aankh bhi band nhi hoti mujhse
Pr tera chehra band aankho ko mil jaaye
To dar chutkio mein ojhal ho jaata hai mujhse
Tu door rhta hai mujhse
Pr dil k kareeb tu fr b hai hmesha mujhse
Tujhse itni himmat milti hai mujhe
Jaise sher bhi bhaag jaaye dr kr mujhse
Tu bhi likhta hai
To tu gehraayi ko smjh skta hai
Auro k liye to bs ye kuchh panktiyaa hai
Mere liye to ye tera astitva hai
Kyu itna pyaar tujhpr aata hai
Kbhi kbhi to dar lagne lg jaata hai
Tere liye to maine
Saare dosto se muh mod liya hai
Pr tujhe hi kho diya agr
To kya rh jana mere paas hai
Tera pyaar naa haasil hua to
Kyaa saari umr tadapte rh jaana hai
Fir naa jaane kaise maine
Apna pyaar zaahir kr diya hai
Likhna ek baar shuru kr du to
Haath rukne ka naam nhi lete hai
Kyuki tere liye kitni bhaavnayein hai
Itna to aaj tk mujhe bhi nhi pta chla hai
Fr bhi tu agr kh de to
Tere liye puri kitaab bhi likh deni hai
Kya baat hai !!
ReplyDeleteThnku
Delete