Meri kahaani


Mai ladki jaat se kyu hu
Kyu ladko se dab jaati hu
Ghar m pyaar milta nhi
Bahr ka pyaar hajam hota nhi


Yu log dil ko bhaate nhi
Jo bhaa jaaye,  vo sahe jaate nhi
Ye duniya zaalim hai
Zinda ko bhi murda bnaati hai


Bhed bhav ka bs trend hai
Bina soche faisle lete hai
Ldki bahr jaakr dikhaaye
Ldka awaara chahe ho jaaye


Pyaar ko kosne waalo ne
Aisi kabar bnaayi hai
Murda uth kr haste hai
Zinda dafn ho jaate hai


Modern khte hai sb khud ko
Kapdo ka nasha sabko hai
Khud is duniya se jo mrzi le
Hum kuchh kare to batamizzi hai


Na bole agar unk aage
To vo paagl, jo bolte hai
Agr kbhi himmat krde hum
To zubaan hum ldaate hai


Ek pal ka chain nhi hai
Har pal kathor shabd sunate hai
Jaan bhi dede agar hum
To kyaa ehsaan humne kiya hai


Ye samaaj hi aisa hai
Ldka baat bhi agar krle humse
To inka chaakar kuchh to hai
Har pal ki khabar udhar hai tumse


Nhi samajh aata mujhe
Jeena khushi se chahti hui
Na bhi jee pau agar
To mar konsa mai sakti hui


Tumhe nhi agar kadar meri
To maine bhi nhi kha tum kro
Par jinko bht hai meri
Unk saath to jeene diya kro


Dum ghut ta hai mera
Man krta hai bs bhaag jaau
Pr dar lgta hai kahin
Kisi or ki shikaar na ho jaau


Ae zaalim logo, ye suno
Bahr nhi to ghr m to jeene do
Do pyaar k bol kya bolu kisi se
Khoon apna na khaulne do


Roz rulate ho tum
Hr pal tadpaate ho yu
Kapda, khana bht nhi hai
Dil ka pyaar to jtaao yu


Bht kam kareebi hai
Pr jo hai bht khaas hai
Na tumhare na unk bina
Ye gaadi chal skti hai


Dil or dimaag thak chuka
Har baar tumhe mnaati hu
Aakhir insaan to mai b hu
Mujhko bhi kbhi sahaara chahiye yu


Dil baar baar chup hota hai
Khi tumhe na kbhi dukh ho
Kbhi to mere baare m socho
Shyd mere tukde jud skte ho


Jo aaya kareeb mere
Hmesha door kiya tumne hai
Bht ehsaan hai tumhare
Ab bas, ye zindagi meri hai


Rukne ko man nhi krta
Aasun bhi ab behate nhi hai
Bs itna reham mujhp krna
Jo paas hai, unhe door nhi krna hai...

Comments

Popular posts from this blog

Best Teacher

Samajh Se Paar- Ye Pyaar

Mera guroor